Saturday, March 05, 2016

ilm-ki-ahmiyat importance of education

All the possible misconducts including dishonesty, lying, hypocrisy, theft, fornication, inequality and sectarianism are happening in the Muslim world. Muslims have deviated from the path shown to them by their religion and adopted the path of self-interest and evil. On the other hand, all good values that were propagated by Prophet Muhammad (SAW) are adopted and implemented by today’s western world.
source of article : http://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-15/


Ek Mashoor Aur Maruf Shakhsiyat *Ms. Carleton Fiorina* Jo Ke H.P. Ki CEO Thi, Aur Iss Khatun Ne Ek Speech Di Thi Jo HP Ki All Worldwide Company Managers Ki Meeting Thi, Usmey Yeh Khatun CEO Thi Uss Zamane Me ..
Yeh Speech Usne Di Hai 26 September 2001 Ko ,.. Yaani 11 Sept 2001 Ko World Trade Center Ka Wakiya Hua Tha Jispar Musalmano Par Ilzam Par Lagaye Ja Rahe They ,..
Unki Speech English Me Thi Hum Uska Tarjuma Yaha Batane Ki Koshish Karte Hai ,..
Yeh Speech Bohot Himmat Bohot Jasarat Ki Cheez Hai. Jaha Musalman Apne Aap Ko Musalman Kahne Se Yaha Sharma Rahe They Jo Wakiya Waha Hua, Ye Khatun Jo Isayi Hai Isne Twin Tower Ke Blast Ke 2 Haftey Baad Ek Takreer Me Dunya Se Ailan Kiya Aur Kaha Aur Usne Shuruwat Yun Ki –
» Tarjuma– @[156344474474186:]
* Ek Zamana Tha Ek Qoum Gujri Hai Jo Duniya Me Sabse Behtareen Qoum Thi, (Abhi Usne Naam Nahi Liya)
* Yeh Wo Qoum Thi Jisne Ek Aisi Hukumat Qayam Ki Jo Ek Barre Aazam Se Dusre Barre Azam Aur, Ek Pahadi Ilakey Se Dusre Ilakey Tak.,, Jangalaat Aur Tamam Digar Zameenat Inke Paas Thi ,..
* Inke Hukumat Ke Andar Hazaro Aur Lakho Log Rehte They Jo Mukhtalif Majahib Ke Man’ne Wale They ,..
* Iski Zubaan Dunia Ki Aalmi Zaban Ban Gayi Thi.. Aur Bohot Se Qoumo Ke Bich Me Tallukat Qayam Karne Ki Vajah Ban Gayi Thi Iski Zubaan ,..
* Iske Andar Jo Fouje Thi Wo Kayi Mukhataleef Mumalikat Se They.. Aur Jo Hifazat Inhone Di Aisi Hifazat Duniya Me Is Se Pahle Nahi Dekhne Ko Mili Kahi ,..
* Aur Tijarat South America Se Lekar China Tak Aur Tamam Bich Ke Ilako Tak Faili Hui Thi ,..
* Yeh Jo Qoum Thi Jis Cheez Se Chalti Thi Wo Inke Khayalat They, Inke Inkheshafat They, Inke Inventions They ,..
* Inke Engineers Ne Aisi Imaarate Banayi Jo Zameen Ke Kashish (Kuwwat) Ke Khilaf They.. Yaani Badi Badi Imaarate Tameer Karte They ,..
* Inke Mathematicians Jo They Inhone Algebra Aur Algorithm Jaise Subjects Ki Buniyad Daali Jo Aagey Chalkar Computer Ke Banane Aur Encryption Ki Technology Ijad Ho Saki ,..
* Inke Jo Tabib Doctors They Jo Insani Jismo Ko Janchtey Aur Naye-Naye Ilajat Nikaltey Unn Bimariyo Aur Kamjoriyo Ke ,..
* Inke Jo Ilm-e-Falkiyat Rakhne Wale Log They Wo Gour Karte Zameen Aur Aasman Me Aur Taaro Ko Naam Detey Aur Yahi Jarya Bani Aaj Ke Dour Ke Satellite Aur Digar Space Exploration Ka Jo Aaj Hum Inkashafat Kar Rahe Hai Uski Vajah Bani ,..
* Inke Jo Musaniff (Writers) They Wo Kitabe Likhtey They, Kahaniya Likhtey They,.. Kahaniya Jo Jasarat, Himmat, Taqat Quwwat Ki, Mohabbat Ki ,…
* Inke Jo Shayar They Wo Mohabbat Ke Baarey Me Shayriya Likhtey, Yeh Wo Zamana Tha Jab Dusre Iske Kahne Ke Liye Bohot Jyada Khoufjada Hua Karte They ,..
* Jab Dusre Log Naye Inkashafat Ke Baarey Me Sochana Bhi Unke Liye Khouf Tha Yeh Qoum Tou Soch Pe Jiya Karti Thi ,..
* Jab Duniya Iss Cheez Par Aa Chuki Thi Ke Pichley Qoumo Ka Ilm Mita Diya Jaye Iss Qoum Ne Wo Ilm Baaki Rakha Aur Logon Tak Pohchaya (Yaani Isayat Ne Jab Soch Liya Ke Jitna Pichla Greek Knowledge Tha Wo Mita Diya Jaye Tou Wo Ilm Musalmano Ne Ba’Salamat Logon Tak Pohchaya)
* Bohot Saari Cheeze Jo Aaj Ki Hum Duniya Me Dekh Rahe Hai, Istemal Kar Rahe Hai, Yeh Bohot Saari Cheeze Uss Qoum Ki Deyn Hai Jiske Baare Me Mai Baat Kar Rahi Hu, Wo “Islamic World” Hai.. Islami Qoum Hai,. Musalman Hai ,. Jisne 8 vi Sadi Se Lekar, 16 vi Sadi Tak Duniya Ko Mashal-e-Raah Dikhayi..
Aur Iske Andar Usmani Khalifa, Aur Bagdad,. Aur Shaam(Syriya) Aur Kahera, Misr Ki Libraries, Kutubkhane Aur Acche Hukumraah Jaise Ke “Suleiman The Magnificent” Bhi Moujdu They ..
Aagey Wo Kahti Hai Ke –
* Bohot Saari Cheeze Jo Humko Mili Hai Iss Qoum Se, Haala Ki Hum Jantey Hai, Fir Bhi Hum Inke Ahasanmand Nahi Hai ,..
Aur Aagey Wo Kehti Hai Ke – “Inki Yeh Deyn Aaj Humari Jindagi Ka Hissa Hai, Aur Technology Industries Aaj Wajud Me Nahi Hoti! Agar Musalman Scientist Na Hotey..
* * * * *
Kyunki Uska IT (Information Technology) Se Talluk Tha Wo HP Ki CEO Thi Usney Sirf Yeh Bataney Ke Liye Ke Aaj Hum Iss Company Ke Jarye Jiska Hum Fayda Utha Rahe Hai Yeh Kisi Ka Ahsan Hai Hum Par Jis Qoum Ne Hume Diya Hai, Wo Musalman They …
# Tou Andaza Lagayiye Kis Jasarat Se Usne 2 Hafte Baad Twin Tower Ke Blast Ke Baad Musalman Ka Naam Lena Buri Baat Samjhi Ja Rahi Thi Usi Mahoul Me America Me Iss Nonmuslim Khatun Ne Speech Di Aur Kaha Ke Yeh Qoum Tou Insaniyat Ke Fayde Ke Liye Aayi Hai …
# SABAQ:
– Tou Log Hume Jantey Hai,.. Log Hume Pahchan Rahe Hai, Siway Iske Ke Hum So Rahe Hai.. Jabki Log Tou Humko Jagana Chahtey Hai.. Yah Baat Yahi Tou Bata Rahi Hai Ke Maazi(Past) Me Humare Aaba-O-Azdad Ne Bohot Saare Tajurbaat,.. Bohot Saare Inkhsafat, Bohot Saare Karnaame Kiye! Chahe Wo Deeni Uloom Me Ho Ya Duniyawi! Dono Me Maharat Hasil Kiye They ,..
* Aaj Musalmano Ko Jarurat Hai Ke Hum Datt Jaye Iss Cheez Par, Jo Talibe Ilm School Jatey Hai, Yeh Ilm Bhi Iss Niyat Se Hasil Kare Ke Iska Bhi Ajar Aur Sawab Miley ,..
* Aur Saath Me Waliden Jaha Duniyawi Ilm Sikhatey Hai, Dini Ilm Ko Bhi Utni Hi Balki Us’se Jayda Tarji Dey,..
Ke Meri Aulaad Jaha Jabardast Hafize Quraan Ho, Wahi Ek Jabardast Duniyawi Kisi Funn Ka Maahir Bhi Ho..
* Aaj Ummat Ko Aise Logon Ki Jarurat Hai Jo Deen Me Maharat Rakhtey Hai Wo Duniya Me Bhi Maharat Rakhe..
* Tou Hume Agar Duniya Me Rehna Hai Aur Deen Par Chalna Hai Tab Bhi Humko Yeh Duniyawi Ilm Jan’na Hai.. Isliye Ke Iske Bagair Jina Bhi Mushkil Hai Humara,, Sahi Ilm Tak Pohach Nahi Payenge , Kya Humare Khilaf Hai Aur Kya Haq Me Wo Samjh Nahi Payenge.. Aur Fir Mohtaaj Ho Jaynge , Kamtar Hoi Jayenge, Baddtar Ho Jaynge ,.. Aur Jo Halat Ho Rahi Hai Behrahaal Hum Sabhi Dekh Rahe Hai.. Yeh Ilm Ko Chorrne Ka Natija Hai Deeni Aur Duniyawi ,.. Jiski Wajah Se Aaj Humpar Qoume Tasallud Kar Rahi Hai, Chahe Jis Bhi Naam Se Ho ,..
* Ilm Nafa Hi Nafa Deta Hai,.. Ilm Ka Kabhi Koi Nuksan Nahi Hai Yaad Rakhiye ,..
Kharch Kijiye Iske Upar Agar Paisa Lagta Hai.. Khub Maal Iske Liye Lutayiye, Isliyeke Ye Jayaz Jagah Jaha Aap Apna Maal Luta Sakte Hai..
Jis Tarha Se Humare Aaba-O-Azdad They Ke Deen Aur Duniya Dono Me Wo Maharat Rakhte They, Aur Aise Aise Kaarnamo Ko Anjam Diya Karte They Jisko Dekhkar Aaj Duniya Ungiliya Daba Leti Hai Apne Daanto Me.. Ke Kya Wakay Me Musalman Aise They? Ke Kya Wakay Me Musalmano Ka Yeh Ilm Tha,.
* Tou Lihaja Humare Yeh Aslaf Humare Liye Namuna Hai,.. Humko Yeh Dono Ilm Ko Wapas Usi Jagah Lakar Usi Tareeke Se Hasil Karna Hai,. Fir Insha’allah!! Wohi Zamana , Wohi Khushiya, Wohi Tamam Cheeze Humari Jindagi Me Wapis Lout Kar Aaynegi Jo Humari Deyn Thi Insaniyat Ko ,..
* Beharhaal Ilm Ki Ahmiyat Ko Samjhey Isko Jaaney Aur Isko Khub Hasil Kare ,..
Isi Post Ke Sath Hum Iss Unwaan Topic Ko Pura Karenge ,..
♥ Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Ser Dua Hai Ke –
# Allah Ta’ala Hum Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey,…
# Hum Tamam Ko Apni Mukaddas Kitab Quraan Majid Ko Padhna Samjhna Aur Iss Par Amal Karna Sikhaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

No comments:

Post a Comment